chaak e daaman jo dekha to mila eid ka chand
apni tasveer kahan bhool gaya eid ka chand
un k abro-e-khumeeda ki tarah teekha hai
apni aankhon mein bari dair chubha eid ka chand
duur weeran basairay mein diya ho jaisay
gham ki deewar se dekha to laga eid ka chand
lay lay k halaat k sehraon mein aa jata hai
aaj bhi khuld ki rangeen fiza eid ka chaand
talkhiyan barh gayein jab zeest k paimaane mein
ghol k dard k maroon ne piya eid ka chand
chashm to wussat e aflak mein khoyee saghar
dil ne ik aur jaga dhoond liya eid ka chaand
2 comments:
very nice ..................
bohat alla...........
Post a Comment